Saturday, February 26, 2005

Poem: Vishnu-Vandana [meaning in Hindi]

vishnu-vandanaM

vishwaatiitaM vishwa-vidhaanaM vibudheshaM |
vishwaantaM vishwaraMbharamaadyaM vibhumiiDyaM ||
vidyaaSvidyaa-vedya-vihiinaM hRRidi-vedyaM |
vande viShNuM vishwavilaasaM vidhivandyaM || 1 ||

satyaM satyaatiitamasatyaM sadasantaM |
shuddhaM buddhaM muktamanuktaM vidhimuktaM ||
sarvaM sarvaasarvasuduuraM sukhasaandraM |
vande viShNuM sarvasahaayaM surasevyaM || 2 ||

maanaM maanaatiitamamameyaM manasaapyaM |
manturmantaaraM munimaanyaM mahimaaDhyaM
maayaakrii.DaM maayinamaadyaM gatamaayaM
vande viShNuM mohamahaariM mahaniiyaM || 3 ||

paaraM paaraapaaramapaaraM parapaaraM |
paaraavaaraamaadhaaramadhaaryaM hyaavikaaryaM ||
puurNaakaaraM puurNavihaaraM paripuurNaM |
vande viShNuM paramaaraadhyaM paramaarthaM || 4 ||

kaalaatiitaM kaalakaraalaM karuuNaardraM |
kaalaakaalyaM kelikalaaDhyaM kamaniiyaM ||
kaamaadhaaraM kaamakuThaaraM kamalaakshaM |
vande viShNuM kaamavilaasaM kamaleshaM || 5 ||

nityaanandaM nityavihaaraM nirapaayaM |
niiraadhaaraM niiradakaantiM niravandyaM ||
naanaanaanaakaaramanaakaaramudaaraM |
vande viShNuM niirajanaabhaM nalinaakshaM || 6 ||


MEANING

jo vishwa se atiit [pare] hai.n, jo vishwa ke vidhaan [ke nirmaataa] hai.n, jo vishwa ke ant aur aaraMbh hai.n, tathaa aadi-kaaraN [aatma-swaruup ath.aa kaaraN-ruup] hai.n, jo vibhu aadi devtaa ke puujya hai.n, jo vidyaa-avidyaa-veda aadi GYaan-bhaNDaar se pare athwaa vihiin hai, kintu hRRiday me [ham sab ke liye] veda ko dhaaraN karate hai.n, vishwa ke vilaas aur vaibhav ke kaaraN hai.n, aur vidhi ke vandya [jinakii vandanaa karane laayak ho] hai.n, vaise viShNu kii mai.n vandanaa karataa huu.N || 1 ||

jo satya aur asatya --- dono hai.n, jo satya ke atiit [beyond] hain, jo sadaa sa.nt [sage] ke samaan hai.n, jo shuddh aur buddhimaan hai.n, jo mukt hain, jinko kisii bhii prakaar se puurNataH [completely] ukt nahii.n kiyaa jaa sakataa hai, jo vidhi [destiny] ke mukt hai.n, jo sarva [sab kuchh] hai.n aur us sarva se sheSh asarva hai.n, tathaa jo sarva aur asarva dono se duur hai.n, jo sukh ko laane waale hai.n, jo sab kii sahaayataa [help] karte hai.n, aur sur [devataa] jinakii sevaa [service] karate hain, vaise viShNu kii mai.n vandanaa karataa huu.N || 2 ||

jo maan [measure] ke aadhaar [basis] hai.n, jo maan se atiit [beyond meausre] hai.n, jo ameya [like potion] hai.n, jo man se hii dekhe jaate hai.n [perceived only through heart], jo vishwa ke shaashak [ruler] hai.n, jo muniyo.n se maanya [respected] hai.n, jinakii mahimaa sundar hai, jo maayaa se atiit [beyond] hai.n, jo maayaa jaanate hai.n, maayaa se jinakaa swaruup bataayaa nahii.n jaa sakataa, mahaan moh [attachment] kaa jo naash karate hai.n, aur jo mahaniiya hai.n, waise viShNu kii mai.n vandanaa karataa huu.N || 3 ||

jo pare hai.n, jo paar aur apaar dono se pare [beyond] hai.n, jo par se bhii pare hai.n, jo paar aur a-paar ke aadhaar hai.n, jo aarya hai.n, jo hyaavikaarya (?) hai.n, jo puurNa hai.n, jo puurNa ruupa me (man se) vihaara karane yogya hai.n, jo sarvathaa pariipuurNa [complete] hai.n, jo param aaraadhya [supreme deity] hai.n, jo param artha [wealth] hai.n, waise viShNu kii mai.n vandanaa karataa huu.N || 4 ||

jo kaal [time] se atiit [beyond] hai,n, jo swayaM kaal [time] ke liye bhi karaal-ruup [destructive form] hai.n, (kaal-ruup hote huye bhii) karuuNaa puurNa hai.n, kaala ke viShaya nahii.n hai.n, keli aur kalaa me daksha [perfect] hai.n, kamaniiya [desirable owing to physical beauty] hai.n, kaam ke aadhaar hai.n, (aur kaam ek aadhaar hote hu_e bhii) kaam kaa naash karane waale hai.n, kamal jaise aa.Nkho.n waale hai.n, kaam-vilaas aadi bhog hai.n, aur kamalaa (lakshmii) ke iishwar hai.n, waise viShNu kii mai.n vandanaa karataa huu.N || 5 ||

jo nitya [eternal] aanand-swaruup hai.n, jo nitya vihaar karane yogya hai.n, jo nirapaay (?) hai.n, jo niir [ether, space] ke aadhaar hai.n, jinake shariir kii aabhaa prakaash-punj [light source] ke upar vidyamaan [existing] baadal-samuuh jaisi hai, jinake liye ko_ii bhi vandanaa karane yogya nahii.n hai (arthaat jo sarvopari ekmaatra sattaa tathaa sarvatra ek-ras ruup me sthit hai.n), jo naanaa-aakaar [various forms] dhaaraN karake sRRiShTi chalaate hai.n, kintu in sab se pare jinakaa ek niraakaar ruup hai, jo udaar [benevolent] hai.n, jinake naabhi [belly button] se kamal ki utpatti hu_ii hai, aur jinakii aa.Nkhe.n kamal ke samaan hai.n, waise viShNu kii mai.n vandanaa karataa huu.N

* * * * *
Why hindi?
Ans: So that people relate to words of Hindi better. Best english equivalents are put in braces.

Hope you enjoy!

NOTE: The poem appears in the cover page of Vishnu-Puraan and I am unaware of its poet.

|
Weblog Commenting and Trackback by HaloScan.com